Inveterari

Nothing Serious - Just Life

Madhyantar se Mahashoonya tak
Saal ha saal ki tallash ke baad, Zindagi ke chaman se chhante hain;
Aapko chahiye tau pesh karoon, mere daaman mein chand kaante hai.

My Photo
Name:

The Ghost Who Talks...

Tuesday, September 19, 2006

Woh

Jaane kya baat hai us ashiq mein,
Jis ko tum yaad kiye jaate ho।
Ek guzra hua lamha thaa woh,
Jis ko tum roz jiye jaate ho।

Kai chehro se bhari hai wo basti,
Jis mein tum tanha jiye jaate ho।
Wo jo daaman ko bacha ke nikla,
Uss ka tum naam liye jaate ho।
Meethe sapne ki ik chahat mein,
Do kadwe ghoont bhi piye jaate jo।
Dua hai ke woh ho jaye tumhara,
Jis ki tum aarzoo kiye jaate ho।
Beh jaane do ein na-muraadon ko,
Tum jin ashkon ko piye jaate ho।
Wo jo hota, tau mein nahin hota;
Jiska tum zikr kiye jaate ho।
Uski nazron se mila kar nazren,
Meri aankhon mein jiye jaate ho।

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home