Inveterari

Nothing Serious - Just Life

Madhyantar se Mahashoonya tak
Saal ha saal ki tallash ke baad, Zindagi ke chaman se chhante hain;
Aapko chahiye tau pesh karoon, mere daaman mein chand kaante hai.

My Photo
Name:

The Ghost Who Talks...

Tuesday, September 12, 2006

Zindagi se door kahan jaayenge.

Zindagi se door kahan jaayenge;
Phir yahin par laut ke aa jaayenge.

Har sadak par, har gali mein ghoom kar;
Uske seene mein hee ghar banaynge.

Uski baaten sunke yeh dil ne kaha;
Waqt-e-rukhsat se na ab bach payenge.

Jab karega chaand ka koi bhi zikr;
Aasmaan pe hum hi nazar aayenge.

Jiski aankhon hai basi hai duniya saari,
Uske aankhon mein na ab bas payenge.

Awaargi chubhti nahin ab raat din;
Aur naye khanjar kai aazmaayenge.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home