Inveterari

Nothing Serious - Just Life

Madhyantar se Mahashoonya tak
Saal ha saal ki tallash ke baad, Zindagi ke chaman se chhante hain;
Aapko chahiye tau pesh karoon, mere daaman mein chand kaante hai.

My Photo
Name:

The Ghost Who Talks...

Monday, August 28, 2006

Jitni bhi inaaayat hai, meharbaani hai.

Jitni bhi inaaayat hai, meharbaani hai,
Chhoti si hee sahi, zindagaani hai.

Tere aate hi khil uthi thi bahaar
Gunah-e-shauq ki yehi kahani hai.

Hum jaakar bhi na jaa paye kabhi,
Apne dil ki tau hamne maani hai

Kuchh sard mausam ka asar hai dil par;
Aur phir hawa bhi tau barfaani hai

Tere hothon ko chookar jo lamha guzra;
Wohi lamha tau bas ik nishaani hai

Uske dil mein jitni mohabbat thee;
Aaj aakhon mein utna paani hai

Uska aana, aur phir ek baar chala jaana
Uski chahat mein ek rawaani hai


Augusr 28, 2006

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home